loader image

Resume Kya Hota Hai?

by | May 16, 2021 | Resume Building | 0 comments

Hum sabhi ka khwaab hota hai padh likhkar ek achhi naukri paakar settle hona. Lekin, ek achhi naukri paane ke liye kya kya steps humein follow karne hote hain? Ye kabhi socha hai humne? Kya humari Education aur Training humein ek achhi naukri dilaane ke liye enough factor hai? 

 

Hum is blog mein baat karenge ki agar humein apni DREAM JOB paani hai to uske liye humein shuru se hi bahut mehnat karne ki zarurat hai. 

 

i)  Agar hum kisi company/organization mein job ke liye apply karne jaate hain to humara pehla step kya hota hai?

 

  ii) Jab koi company/organisation ki vacancy aati hai to hum sabse pehle kya karte hain?

 

 

 

 

In dono sawaalon ka ek hi jawaab hai:  Hum us company mein apna Resume/CV bhejte hain. Isse humein ye baat samajh aati hai ki us company par hamara pehla impression humara Resume/CV  hi daalta hai.

 

 

Resume Kya Hota Hai? 

 

Resume ya Curriculum Vitae (CV) dono ka basic matlab khud ko introduce karne se hota hai. Jiska use hum kisi bhi job ke liye apply karne ke liye karte hain. Is Mein hum apni saari basic aur relevant information ko show karte hain. Humara Resume kisi bhi company ya recruiter ko humare absence mein humare baare mein information deta hai. Humara Resume humari personal information, education, professional skills, work experience, achievements, career objectives etc ka ek collection hota hai. 

 

 

Resume kya hota hai, aur details mein janne ke liye is video ko pura dekhiye!

 

 

 

 

 

(General Trivia: Ab tak ka sabse pehla Resume banane ka credit Leonardo Da Vinci  ko jaata hai.)

 

 

Resume aur CV mein basic differences:

 

 

 

 

1) Resume  Resume hamari summary profile hoti hai. Jismein hum apni relevant details ko bahut details mein na likhkar short mein present karte hain. 

 

  • Maximum 1 page.
  • Apply kiye jaane waale job ke relevant aur active certificates
  • Most Important Info:    Full Name, Contact Details, Experience in reverse-chronological order, Education details, Professional Skills & Certifications
  • Not Required:    Date of Birth, Gender, Fathers name, Nationality, Hobbies, Declaration.

 

 

2. Curriculum Vitae-  Humari CV, Resume se thodi zyaada detailed hoti hai. Ismein pages ki sankhya requirements par depend karti hai. 

 

  • Pages par koi limit nahi.
  • Sabhi skills aur certificates ko mention karna compulsory hai.
  • Most Important Info:  Full Name, Contact Details, Short Bio, Education details, Experience in chronological order, Professional Skills & Certifications, Interests, Courses, Publications, References
  • Not Required:   Date of Birth, Gender, Fathers name, Nationality, Hobbies, Declaration.

 

Resume aur CV dikhte alag alag hain, lekin dono ka purpose ek hi hota hai. 

 

Conclusion:

 

 Jaise ki hum bachpan se sunte aa rahe hai aur bahut puraana quote bhi hai “First Impression is the Last Impression..”  To humein pura yaqeen hai ki hum sab chahenge ki humara pehla impression bahot hi impactful aur effective ho. Iske liye humein apne Resume par bahut dhyaan dene ki zarurat hai. Resume banate waqt humein sirf itna dhyaan mein rakhna hai ki kis tarah hum apne absence mein apne aap ko behtar tarike se introduce kar sakte hain. 

 

Jaaniye Resume Ki Importance 👇👇

Video Resume Kyun Aur Kaise Banayen?

Hum hamesha se sunte aa rahe hain, "Humare action humare words se zyaada effective hote hain." To...

Resume Banane Ke Tips

Resume ka humari professional life mein bahut importance hai. Resume humare job ki taraf hamara...

Mobile Se Resume Kaise Banaye?

Resume banane se pehle humein ye achhi tarah pata hona chahiye ki Resume mein hum kaun kaun si...

Resume Kyun Zaruri Hai?

        Hum mein se kai logon ka sawaal ye hota hai ki Resume aakhir hum...

Resume Kya Hota Hai?

Hum sabhi ka khwaab hota hai padh likhkar ek achhi naukri paakar settle hona. Lekin, ek achhi...
5 2 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x