loader image

JRT Ke Liye Register Kaise Karein?

by | Jun 6, 2021 | About JRT | 0 comments

JRT yaani ki Josh Recruitment Test ki official website mein swagat hai. Ab humari dream job humse zyada door nahi hai. Iske liye sabse pehle humein kya karna hoga? 

Sabse pehle humein JRT ke liye registration karna hoga. Lekin wo hoga kaise, chaliye seekhte hain: 

Step:1:  

Jaise hi hum website open karte hain, sabse pehle humein ye page dikhai deta hai. Jise hum Landing Page kehte hain.

Landing page par sabse upar dikhai de rahe Register/Login button par humein click karna hai.

Step:2: 

Jaise hi hum Register/Login button par click karenge, humein website kuch aisa dikhega: 

Yahan par humein Register karne ke liye apni basic details enter karni hain. 

 i) Sabse pehle humein apna 10 ankon ka Mobile Number enter karna hai.

ii) Uske baad humein apna pura naam enter karna hai.

iii) Name enter karne ke baad humein apni Email I’d daalni hai. 

 

Ye saari details enter karne ke baad humein Abhi Register Karein button par click karna hoga. 

 

Step:3:   

 

Jaise hi hum Abhi Register Karein button par click karenge, humare saamne ek page open hoga, jo ki kuch aisa dikhega:

 

Yahan se hum apne suvidha ke anusaar koi bhi payment method select karke JRT ke liye Register kar sakte hain. 

 

Step:4: 

JRT ke liye payment karne ke baad exam ke liye apna slot select karne ke liye aur apni personal details enter karne ke liye humein apne registered mobile number se Login karna hoga. 

 

Login karne ke liye humein apna registered mobile number aur password enter karne ke baad Abhi Login karein par click karna hai. 

Agar in case, hum apna password bhul bhi gaye hain to pareshaan hone ki zarurat nahi hai, humein sirf Forgot Password par click karna hai aur humare registered mobile number par ek OTP aa jayega aur hum dobara se JRT ke liye Login kar lenge.

 

Step:5: 

Login karne ke baad humara JRT dashboard kuch aisa dikhega:

Ab ismein humein apni personal details enter karni hai aur JRT ke liye apna slot book karna hai.  JRT ke liye jo do slot diye gaye hain, 11 July aur 18 July ; humein unme se ek slot select karna hai, aur humara JRT schedule ho jaayega. 

 

Step:6: 

JRT dashboard par humein apni personal details enter karna bahut zaruri hai. Jaise hi hum personal details par click karenge, humare saamne kuch aisi screen aayegi: 

Yahan par humein apna Name, Email, Age, Pincode enter karna hoga aur in details ko save karne ke liye Save Changes par click karna hoga. Save Changes button par click karte hi hamari details save ho jaayengi. 

 

Step:7: 

Personal Details edit karne ke baad humein apna Resume aur Video Resume upload karne ki zaroorat hai, Jiske basis par hi humare liye Jobs appear honge. 

Resume upload karne ke liye Resume ke niche blue upload button par click karna hoga, isse hum apna resume upload kar sakenge. Video Resume upload karne ke liye humein uske niche blue upload button par click karna hoga. Isse hum apna Video Resume upload kar sakenge. 

 

Step:8:.

Saari details enter karne ke baad aur apna profile setup karne ke baad ab hum apne test ke liye preparation start kar sakte hain. Jiske liye humein Mock JRT attempt karna hoga. 

JRT ke liye preparation karne ke liye humein Mock JRT par click karna hoga aur isse hum Mock JRT dekar apni preparation ko behtar kar sakte hain aur achhe marks score kar sakte hain. 

 

Test ke liye saari zaruri details aur reminder humare registered mobile number aur email par aayenge. Isliye regularly humein emails aur messages check karna bahut zaruri hai. 

 

JRT ke liye Register karna bahut hi asaan aur simple hai. Sirf humein in steps ko follow karna hai, aur humara JRT ke liye Registration complete ho jaayega. 

 

Let’s Go!!

JRT Ke Liye Register Kaise Karein?

JRT yaani ki Josh Recruitment Test ki official website mein swagat hai. Ab humari dream job humse...

Mahesh Prajapati – Placed at 5 LPA

"Thanks to JRT, I was able to get my first job as a sales executive in a big company. My family is...

Shruti Raj – Placed at 2.75 LPA

"The team was very helpful and helped me in getting 4 interviews in my interest field. I was also...

Preeti Goel – Got 3 Job Offers

"JRT dene mei mujhe koi bhi problem nahi hui. Maine ghar se exam de diya, and kuch naya ya alag...

JRT Dene Ke Kya Fayde Hai?

JRT Dene Ke Faayde:- JRT Bharat ka pehla aur ek aisa anokha test hai jisko dene ke baad hum sab ek...

About JRT

Bharat ka pehla aur avishvasniya naukri bhartee krne wala test- JOSH RECRUITMENT TEST (JRT)!...
4.7 3 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments