loader image

Job Ready Skills aur Digital Age:-

by | May 16, 2021 | Job-Ready Skills | 4 comments

Aaj ka time technology centric time hai. Hum aise daur mein hain jahan agar hum khud ko technologically updated nahi rakhte, to humse zyaada illiterate koi nahi hai. Jahan 21st century mein hum har department, har chhoti se badi chijon ke digitilisation ki baat karte hain, wahan hume bhi Digitally Upgrade rehne ki bahut zarurat hai.
 Kyunki agar hum khud upgrade nahi rehte hain to hum in service ko achhe tarike se utilise karne mein bhi capable nahi honge. 
Isliye humein apne skills ko bhi time to time upgrade karte rehna chahiye. 
Ye bhi fact hai ki hamari job ready skill se related information zyaada upgrade na hone ka reason hai ki usmein bahot se skills naye add kiye gaye hain.
Yahan hum janenge ki wo new skill set kya hain aur 21st century ke digital age mein unki kya importance hai. 

21st Century ke Digital Age ke according Job Ready Skills:-

1. Job Search:

Hum generally job search karne ke liye internet ka use karte hain. Lekin 21st century ke Digital Age mein job ka process completely online ho gaya hai, ab maximum jobs ke baare mein details humein online hi available karayi jaati hain. Inka pura step-by-step application process bhi online hota hai. Job ready skills ka ye bhi matlab hai ki hum sabhi ko ye knowledge ho ki online jobs ka kaise advertisement kiya jaata hai. 

NOTE:  Job board ya sites par Vacancy option mein related information aur company ki websites par Career aur Employment  section mein related job information provide ki jaati hai.

2. Social Skills:

Kai job ready skills hamari respect aur courtesy ko bhi show karti hai. Ye skill 21st century mein bhi same hai jaise pehle ke decade mein hoti thi. Jaise ki, apne kaam ki reporting sahi time par karna aur kisi reason se kaam mein delay hona ya koi problem hone par apne supervisor ko report karna bhi ek social skill hai. Ye hamari maturity aur responsible behaviour ko dikhati hai. 

3. Technology:

Bahot se job mein humari technical efficiency bhi us job mein humari success ka ek reason hoti hai. Ye zaruri nahi hai ki hum us technology me expert level ke proficient ho lekin technology ki basic knowledge hum sabhi ke liye bahot zaruri hai. Jaise ki Computer mein login karna, mail check karna, mail compose karna etc.

 

4. Research Skill:

Aaj ke digital age mein Research skill ko develop karna humare liye bahot zaruri hai. Isse hum apne respected job ke according  hamari audience ki need aur requirements ko achhe se samajhkar uske according apni strategy bana kar apne mission ko achieve kar sakte hain. Research skill  se hum apni strategy mein time to time demand ke according changes karke use effective bana sakte hain. 

 

Some Important Categories of 21st Century Skills:

21st century ke skill set ko mainly 3 categories mein divide kiya gaya hai, aaiye hum seekhte hain ki wo 3 skills kya hain aur unn skills mein aane waale skill set kya kya hain: 

1. Learning Skills:-   

Learning Skills mein aane waale 4 C’s ko 21st century mein bahut popular skill set mana jaata hai: 
  • Critical Thinking
  • Creativity
  • Collaboration
  • Communication

2. Literacy Skills:-

Literacy Skills ko hum short form mein IMT bhi kehte hain. 21st century ke popular Literacy Skills hain:
  •  Information Literacy
  • Media Literacy
  • Technology Literacy

3. Life Skills:-  

Life Skills ko hum generally FLIPS bhi kehte hain.  21st century mein popular Life Skills hain: 

  •  Flexibility
  • Leadership
  • Initiative
  • Productivity
  • Social Skills

 

Conclusion:

 

Ye sabhi skills 21st century ke digital age ke liye bahot zaruri hai. Kisi bhi Company/Organisation mein job paane ke liye ye skill set hona humari employibility ko aur adhik badha deta hai. 21st century mein ye skill set agar hamare paas hai, to hum kisi bhi job profile chahe wo technical ho ya non technical dono ke liye eligible honge. Isliye inn skills par humein bahot focus karne ki zaroorat hai. 

 

 

Job Ready Skills Ke Baare mein jaaniye, Yahan Click Karke 👇

Job Ready Skills Kya Hai?

Job Ready Skills ke baare mein janne se pehle kya hum nahi chahenge ki humare kuch mis -...

Job Ready Skills Kyun Zaruri Hai?

Kya hum apni new job ke liye bilkul taiyar hain? Agar hamara jawab “YES” hai to humare ‘Job Ready...

Job Ready Skills aur Digital Age:-

Aaj ka time technology centric time hai. Hum aise daur mein hain jahan agar hum khud ko...
3.7 3 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
4 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
YATEESH KUMAR
YATEESH KUMAR
3 years ago

JOSH SKILLS YOU ARE ONE OF THE BEST PLATFORM FOR UPGRADING SKILLS AND ALSO JOB OPPOURUNITIES

Sapna Jaiswar
Sapna Jaiswar
3 years ago

Nice

raji
2 years ago

Very good content and informative. Thank you for sharing. I have learned a lot from this blog and will also be sharing this social network.

<a href=”https://www.perfectskills.in/”>India’s Leading Online Skills Assessment Tool</a>

Extratech JRP
1 year ago

Thank you for sharing. It is exciting and helpful for those interested in a job-ready program

4
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x