About JRT
Bharat ka pehla aur avishvasniya naukri bhartee krne wala test- JOSH RECRUITMENT TEST (JRT)!
Bharat ek yuva desh hai aur iss desh ka yuva apne sapnon ko pura krne ke liye unchi udaan bhi bharna janta hai. Par hazaron logon ke beech mei humara kya wajood hai, yeh hum kaise pata laga skte hai? Agar hum sach mei job ke kaabil hai toh hum apni skills naukri bhartee krne wali company ko kaise dikha skta hai? Kya school/college ki marksheet ya ek resume kaafi hai?
Agar hum sach mein soche toh shayad nhi! Isliye iska solution hai JRT.
JRT dene ke baad hum apni yeh problem asaani se solve kar skte hai.
-
JRT ke test ke standards ki wajah se hum apne skills ko pehchan skte hai joh ki kisi bhi ek achi job ke liye zaruri hoti hai.
-
JRT ke scorecard ko hum sabhi ke liye bahut hi fair tarike se banaya jata hai taki company humein sirf humare resume aur school/college ki marksheet ke aadhar par hi nhi balki humari skills ke aadhar pe humein job de.
-
JRT ki help se hum bante hai aise ek parivar ka hissa jahan humein bataya jata hai ki hum kitne kaabil hai. JRT ek bade bhai ki tarah humein humari skills pe aur mehnat krne ki prerna deta hai.
-
Agar humara score acha hota hai toh humari profile ko shortlist krke companies ko bheja jata hai and fir company humara interview lene ke baad humein job deti hai.
-
JRT pe register krne ke baad humein pura support kiya jata hai taaki hum acche se test mei perform kr sakein aur ek acchi naukri paa sakein.
Subscribe
Login
0 Comments