JRT Dene Ke Kya Fayde Hai?
JRT Dene Ke Faayde:-
JRT Bharat ka pehla aur ek aisa anokha test hai jisko dene ke baad hum sab ek acchi job ke liye zaruri skills ko pehchan skte hai aur sath hi sath unhe aur nikhaar bhi skte hai.
Bharat mein har saal lakhon students graduate hote hai school/colleges se. Natija, kisi bhi job ko krne ke liye competition kaafi zayda hota hai. Hummein se bhot log sarkari naukri ki bhi taiyari krte hai aur sath hi sath private naukri ki bhi talash krte hai.
Competition itna zyada hota hai ki kayi baar yaa to hum select nhi ho pate hai ya fir hum sahi company mei nhi jaa pate hai. Aise mei companies ko bhi lagta hai ki kya unhone ne humko job deke sahi decision liya hai ki nhi.
JRT inhi sab problems ka ek-matra solution hai. JRT humare kaafi sarey skills ko test karta hai aur humein ek proper scorecard aur cerftificate bhi deta hai.
Aur fir usi scorecard ki help se humein humare career mei sahi kadam badane ka mauka milta hai. Aise mei sawal aata hai ki JRT dene ke kya fayde hai ya JRT dena hi kyon zaruri hai?
Graduation complete kar lene ke baad bhi aaj Bharat mei kitne yuva log hai joh job ki talaash mei rehte hai. Aise mei unko naa to college ki taraf se aur naa hi kisi bahri madad se job dhundne mei sahi se koi help mil pati hai.
Hummein se bhot se logon ko toh interview dene ka mauka bhi nhi milta. Kisi na kisi wajah se hum disqualify ho jate hai. Kayi baar toh hummein feedback bhi nhi milta. Kya iska matlab yeh hua ki humare paas woh kaabiliyat hi nahi joh humein job dila sake? Isliye Josh Recruitment Test (JRT) humari kaafi saari skills, jaise ki:
-
Communication Skills
-
Logical Reasoning
-
Quantitative Aptitude, etc.
Ko test karke humein mauka deta hai apne aap ko prove krne ka. Aur sath hi sath humein milti hai job opportunity jahan naa toh humein walk-in interviews ke dhakke khane padte hai aur naa humein bina sahi feedback ke rejection milta hai.
Yeh test dene ke baad humein JRT ki taraf se placement ka pura support milta hai. Aur test se pehle hi humein issey kaise dena hai aur kaise acha score krna hai iski jankari bhi di jaati hai.
Resume banane se leke interview dene tak, JRT humare career mei ek bade bhai ki tarah humare sath chalta hai. Toh chaliye apne career aur ek achi zindagi ki taraf yeh pehla kadam badate hai aur puri duniya ko dikha dete hai ki hum kis kaabil hai!
All the best!
Subscribe
Login
0 Comments