loader image

Common Interview Questions

by | May 16, 2021 | Interview Preparation | 3 comments

Ek question jo ki na sirf Freshers balki Experienced ke liye bhi utna hi stressful hota hai. Wo question hai, Interview kaise face karein? Ya Interview kaise crack karein? 
Ye sawaal hum sabhi ke liye equally stressful aur anxiety waala hota hai. Ek taraf jahan hum corporate world se judne ke liye excited hote hain wahin dusri taraf rejection ka darr bhi laga rehta hai. 
Ye darr aur stress hum fresher ho chahe experienced, dono ke liye natural hota hai.

Is blog mein hum seekhenge ki Interview mein kis type ke questions puche jaate hain, jisse hum pehle se hi unhke liye taiyar ho sake. 

Common Interview Questions:-

Common interview questions discuss karne se pehle ek sabse zaruri baat, humein ek sabse zaruri baat jo bhulni nahi chahiye aur jo humein interview mein apne saath carry karna must hai. Wo hai : Confidence aur ek decent smile.
To chaliye isi confidence aur smile ke saath dekhte hain interview ke liye expected questions.
  1. Apne baare mein humein btaiye:  

    Yahi wo question hai jise hum commonly icebreaker question bhi kehte hain. Ye question humare liye ek opportunity ki tarah hota hai jahan hum interview ke liye tone set kar sakte hain aur interviewer ke saamne khud ko best possible way mein present kar sakte hain. 

2. Humein aap ko kyun hire karna chahiye?:

Is question ka indirect matlab hai ki hum kis tarike se is role ke liye fit hain? To iska answer humein hamesha apne previous experience se karna chahiye aur phir use  job description se connect karna chahiye.

3. Aapki strengths kya hain?:

Hum mein se bahut log aisa sochte hain ki ye question easy hai aur hum inka jawaab bahut asaani se de denge. Kabhi Kabhi  humara yahi attitude humare liye problem kar sakta hai.  Kyon ki ye question easy hai lekin problem aati hai is question ko frame karne mein. Isliye is question ko granted mein na lekar humein iske liye utni hi preparation karni chahiye.

4. Aapki weakness kya hain?:

Ye question basically humara character test karne ke liye pucha jata hai.  Hum kis tarike se pressure handle karte hain ya phir hum khud se kis tarah aware hai, uska test kiya jaata hai. Iske liye humein pehle se hi is par dhyaan dena hoga. Kabhi bhi is question ka answer ye nahi dena chahiye ki humari koi weakness nahi hai, ye humare overconfident aur arrogant behaviour ko show karta hai.

5. Aapka short term aur long term goal kya hai?:  

Ye question humara commitment check karne ke liye humse pucha jata hai.  Is question ka answer humare dedication aur maturity ko show karta hai.  Humesha is question ka answer humein company se connect karke hi dena chahiye. 

6. Aap company ke baare mein kya jaante hain?

 Is question mein interviewer ye janna chahte hain ki humne interview ke pehle kitna research kiya hai. Humari research skill kaisi hai? Kya humne ismein effort aur time invest kiya hai ya nahi? Isliye humein apna homework karna zaruri hai. Bina homework ke hum is question ka answer sahi se de nahi sakte. Isliye interview ke pehle humein company ke baare mein  properly research karni chahiye. 

7.  Aap pressure/stress ko kaise handle karte hain? 

Is question ko puchne ka motive hota hai ki hum pressure se kis tarah affected hote hain aur usse overcome karne ke liye hum kya karte hain. Aur ye job ko kis tarah affect kar sakta hai. Isliye is question ka answer humein bahut careful hokar sochna hoga aur phir jawaab dena hoga.

👉👉EXPERT se jaaniye Interview Crack Karne ka SECRET!

8. Kya aap is job ke liye relocate kar sakte hain?

Interviewer ka ye question puchne ka matlab hota hai ki hum kya travelling ke liye open hain ya nahi?  Kya hum transfer ki condition ke liye open hain ya nahi? Kya zarurat padne par aa sakte hain ya nahi? Is question ka answer ye show karega ki kya hum really mein is job ke liye serious hain ya nahi. 

9. Aapki hobbies kya hain?

Normally is question ka answer interview se connect nahi hota. Ye question sirf humein personally janne ke liye humse pucha jaata hai.  Is question mein humein hamesha professional aur personal dono interest ko milakar answer dena chahiye.  

10. Aapki dream job kya hai?

Waise to ye ek tricky question hai, lekin ye question puchne ka matlab hai ki  humara motivation kya hai?  Hum is company ke liye fit honge ya nahi. Isliye is question ka answer humein humesha current role ke saath connect karke dena chahiye. 

11. Aap kabse job start kar sakte hain?:

Hum mein se bahut logon ko lagta hai ki is question ka matlab hai ki humara selection ho gaya. Lekin aisa nahi hota. Usually ye question tab pucha jaata hai jab company urgent basis par hiring karna chahti ho.  Is question ko puchne ka matlab hota hai ki hum kitni jaldi ye company join kar sakte hain aur agar humara selection ho gaya hai to company kab tak ye hiring process close kar sakti hai. 

12. Aapki salary expectation kya hai?

Ye question bahut hi straight humse pucha jaata hai lekin iska answer bahut complex hota hai. Kabhi Kabhi hum is answer ko dene mein bhut hesitate hote hain kyuki interview stage mein iska answer dena humein risky feel hota hai. Lekin is question ko puchne ka motive hota hai ki hum kya salary expect kar rahe hain? Humari expectation company ki budget ko match karegi ya nahi? Negotiation ka kya scope hai? Isliye iska answer dene mein humein reference ka use karna chahiye.

Humne Kya Seekha? :-

Hum chahe kisi bhi role ke liye apply kar rahe ho, ye questions compulsory hai ki humse puche jaate hain. Isliye agar humein interview ko nail karna hai aur apni performance better karni hai to inn questions ke answers ki practice karni humare liye bahut zaruri hai.
Lekin kisi bhi answers ko ratna humare liye problem create kar sakta hai. Agar interview ke dauran kisi sawaal ka answer na pata ho to use positivity ke saath accept karein. Isliye casual rahiye, confident rahiye aur honest rahiye.

Take it easy! 

Interview Prepration ki details information 👇👇

JRT Ke Liye Register Kaise Karein?

JRT yaani ki Josh Recruitment Test ki official website mein swagat hai. Ab humari dream job humse...

Common Interview Questions

Ek question jo ki na sirf Freshers balki Experienced ke liye bhi utna hi stressful hota hai. Wo...

Interview Preparation Ke Liye Tips:

Hum mein se bahut se logon ko yeh galat fehmi hoti hai,ki interview ka results sirf humare...

Interview Kaise Crack Karein?

Apne Dream Job ke liye interview ka call aana, humara apne career ki taraf sahi direction mein ek...

About JRT

Bharat ka pehla aur avishvasniya naukri bhartee krne wala test- JOSH RECRUITMENT TEST (JRT)!...

JRT Dene Ke Kya Fayde Hai?

JRT Dene Ke Faayde:- JRT Bharat ka pehla aur ek aisa anokha test hai jisko dene ke baad hum sab ek...
4.5 2 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
3 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
Yashwant chitara
Yashwant chitara
3 years ago

Sir ji,
Q. Ofline Jaye interview Dene dress look kesa hona chahey or online kre toh dress look kesa hona chahey?

Q. English nhi aate toh interview nhi deskte kya?

Kamalpreet kaur
Kamalpreet kaur
2 years ago

Job

Kamalpreet kaur
Kamalpreet kaur
2 years ago

Hello,
Sir namste my name kamalpreet kaur from bathinda sir mujhe job chaiye