loader image

Resume Banane Ke Tips

by | May 16, 2021 | Resume Building | 0 comments

Resume ka humari professional life mein bahut importance hai. Resume humare job ki taraf hamara pehla step hota hai. Isliye ise banate time koi bhi galti karna humare liye bahut bhaari pad sakta hai.  

 

To humein resume banate waqt niche likhi baaton ko avoid karne ki zarurat hoti hai:
  • Resume chhota, easy, effective aur professional hona chahiye.
  • Jis bhi job ke liye hum apply kar rahe hain, resume mein usi se related information aur keywords hone chahiye.
  • Resume mein grammatical errors aur spelling errors nahi honi chahiye.
  •  Resume ko maximum 2 page mein banana chahiye.
  • Resume mein likhi gayi har baat proof aur correct honi chahiye.
  • Resume mein koi bhi personal information nahi honi chahiye. 
  • Resume ki formatting par bahut dhyaan dene ki zarurat hoti hai.
  • Resume mein use kiya jaane waala font aisa hona chahiye jo clearly visible ho.

 

 

Resume Banate Time Dhyaan Mein Rakhne Waali Baatein:- 

 

Resume banate time kya baatein humein avoid karni chahiye, ye to humne jaan liye. Lekin resume banate time kya baatein humein dhyaan deni chahiye, ab hum wo jaanenge. 
  •  Jis bhi Company/Organisation mein  hum job apply kar rahe hain, usse related har information ko humein collect karna chahiye.
  • Humesha  resume ka format professional hi select karna chahiye.

Resume se judi abhi bhi agar koi confusion hai, to ye video zarur dekhe! 

  • Resume mein jahan bhi need ho wahan par space zarur dena chahiye. 
  • Resume ko har company aur job profile ke according humein customise karte rehna chahiye.
  • Resume submit karte time use dobara zarur padhna chahiye. 

Conclusion:

 

Humne is article mein ye jaan liya hai ki resume banate time kya baatein humein avoid karni hai aur kya humein dhyaan mein rakhna hai.
Inn sabhi baaton ko dhyaan mein rakhkar hi humein apne resume banane ki zarurat hai. Humne resume se related har chhoti badi baaton ko seekh aur samajh liya hai. Ab humein apne Dream Job ki taraf apna pehla kadam badhane se koi nahi rok sakta.
Let’s Go!! 

Resume se judi aur details ke liye yahan click karein 👇👇

Resume Kya Hota Hai?

Hum sabhi ka khwaab hota hai padh likhkar ek achhi naukri paakar settle hona. Lekin, ek achhi...

Resume Kyun Zaruri Hai?

        Hum mein se kai logon ka sawaal ye hota hai ki Resume aakhir hum...

Mobile Se Resume Kaise Banaye?

Resume banane se pehle humein ye achhi tarah pata hona chahiye ki Resume mein hum kaun kaun si...

Resume Banane Ke Tips

Resume ka humari professional life mein bahut importance hai. Resume humare job ki taraf hamara...

Video Resume Kyun Aur Kaise Banayen?

Hum hamesha se sunte aa rahe hain, "Humare action humare words se zyaada effective hote hain." To...
5 1 vote
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments